Kya aap bhi pareshaan ho,
ki ghar par bandi ho?
Chahe fir wo ghar walo ke saath roz ki bhasad,
ya fir business me cha rahi mandi ho…?
To suno….
Waqt kabhi kehkr nahi ata,
wo bas kehkar leleta hai!
khushnasib hai wo,
jo use haske seh leta hai…
Kyunki apni pareshania to sabko badi lagti hai,
kisko khane ko ann bhi nahi,
aur kissi ko roti ke saath sirf ek sabji kum lagti hai…
kissiko abhi bhi pocha maarne me,
apni shaan kum hoti jhalakti hai.
aur koi maarna chahta hai…
Kyunki usme usse apni rozi-roti dikhti hai!
kissika sirf ek chat ke neeche rehne se
mansik santulan bigadta hai.
to kissiko bas ek chat pane ke lie,
1000 km chalna bhi kum lagta hai…
Nahi, hum ghar me bandi nahi…
apni aadato aur soch ke bandi hai…
kehne ko khushnaseeb hai, ki sirf ghar par rehkar,
is waqt ki badsalukki sehni hai…..
to kyu pareshan ho, waqt hi to hai, nikal jaega….
thoda muskurayo, apno ke sang, aur apne saath samye bitayo,
kyunki fir roz ki khichpich me ek din
yeh waqt dubara se yu hi guzar jaega!
PS: Stay home, stay safe and make this lockdown successful in curbing down the curve.