Poetry

Wo Baat Nahi

Aaj shanti hai badi in chaar dewaro mein,
par isme wo wali baat nahi..
Jab khankate the bartan behisaab,
wo besuri surili yaad nahi…

Kapde to abh bhi istri hote hai,
par inme wo wali baat nahi.
Bhale hi ek do salwate reh jati thi,
Par pyaar ki garmahat mein, no kami…

Aaj pura kamra mera hai,
par nahi lagta yeh sahi.
Jab tak khicho na rajai bhai ki,
To wo bhala kaisi sardi hui?

Raat ko kissi ka dar nahi hai ab,
Par chup chup ke jine ka khyaab wahi.
Jab papa se chupkar movie dekh ate the,
aur darte the ki wo kahi jage to nahi.

Aakhir PG kitna bhi acha ho,
isme ghar wali baat nahi..
pehle chutti me ghumne ki socha karte the,
par ab jana hai ghar aur kahi nahi.

PS: Dedicated to all the people who stay away from their home and miss it, incessantly.

As home is where you have your people.

Please Leave Your Thoughts